About Us

Namaste I’m Shashi Ranjan, a designer-turned-entrepreneur from Bihar, currently based in Delhi — and this is a dream I’m building with my mother.
Maai Mithaas was born from a simple thought —
"Ghar ka swaad sirf ghar tak kyu rahe?"
Maa ke haath ka Thekua — wo hi traditional Bihar wala — jiski khushboo se pura ghar mitti aur pyaar se bhar jaata hai...
Humne socha, is swaad ko sirf parivaar nahi, desh bhar ke log mehsoos kare.
Har Thekua jo hum banate hain:
- Hath se tayyar hota hai
 - Preservative-free hota hai
 - Aur usi mamta ke saath pack hota hai, jise maa rakhti hai dabbe mein bacchon ke liye
 
Ye sirf ek snack nahi — ye ghar ki feeling hai, maa ke haath ka pyaar hai, aur Bihar ki mitti ki khushboo hai.
Agar aap bhi ghar se door ho, ya maa ke haath ka swaad miss karte ho…
Maai Mithaas bas ek order nahi — ek yaad hai jo wapas laut aati hai.